Monday, April 21, 2014


Shame gaflat se darr lagta h Unn kuredti aankho se darr lagta h Par jese hi chuti h suraj ki pehli kiran muje Yhi darr chlava bhar lagta hai Aur unn najro ka hona hi bharam bhar lagta hai

Thursday, February 27, 2014


Aagaj k bigul ki gunj bhar sunai di h abhi... falak tak jana toh abhi baki hai

Tuesday, February 18, 2014


hi!vel its nt abt me........its abt my class nd ofcourse m also dere.......so plz check dis out.........
aaie le chalte h aapko kamra no.311 me,
ye electronic media valo ki basti h,jaha har ruh dil se hasti h,
yaha aashish ki zindagi barbad hoti h(aashish's favourite dialouge)
hum sab ka din yahi nikalta h or yhi sham hoti h,
manish ki gulabo ki charcha yaha aam hoti h,
kanval k udas chehre par hasi sreaam hoti h,
srishti k fone par chipke rehne ki kriaye tamam hoti h,
sunil ki gayaki katl-e-aam hoti h(gayak jnab kahin b shuru ho jate h),
nidhi ka vo chulbulapan is class ki jaan hoti h,
navkiran k chehre ki ronak toh kamal hoti h,
simmi ki chatkare lene ki chahat bar bar har bar hoti h(miss swadu)
dhramveer ki naukari ki charcha har antraal hoti h(koi to ise naukari dilva do),
Amit ki khamoshi me shabdoo ki bharmar hoti h(vese abb kuch kuch bolne lga h),
bhagvaan(shrma) k chehre par har vqt muskaan hoti h(abb ye bhagvan hi jane k is muskurahat ka raaz kya h),
ved prakash k ajib se baal or ajab-gajab c chal hoti h(thank god abb hairstyle kuch sudhar ggeya h),
svati ki assignment ko le kar fasvane ki chal hoti h(afterall!topper h cls ki),
kahin-kahin se ashvani k shabdoo ki b fuhaar hoti h(kabi kabi bolta h,par jab b bolta h shi bolta h),
Dheeraj or nidhi ki halki-fulki ladai b yaha kai bar hoti h(vese ajkal munish or nidhi ki zada hoti h),
Bharat ki har jagah dhak jmane ki koshish zordar hoti h(no doubt he is d most talented person of our cls),
yogesh ki masumiyat bhi kabi kabar hoti h(vese abb itna masum ni rha),
rajni ki vo kisi na kisi ki vatt lgane ki b yaha bat hoti h(ajkal kuch kam h),
jumping-jeck(jitender) ki vo darvaze se jhakne k bad ulte pao laut jane ki krida b khub dhamal hoti h(ye jnab sirf chutti vale din time pe aate h),
or ek " Mittali"(Its me-d life of dis cls) jo lagta h iss basti ki chokidar hoti h jiski dunia nhi kahi iss 311 se bahar hoti h.........................................

Chavi


Talashati hu aaine mein khud ko jabb,
ek chaya c dikhai padti hai,
"Hello! Aur kaisi ho?"
kuch yu mujse batiyati hai,
dunia kehti hai ki aaina toh jhutha hai,
tumhe sunder, sachha dikhata hai,
par mere lie toh vo uss paar khadi ladki,
apni c mehak de jati hai,
roj mujse milne baate karne chali aati hai,
mere sath hasti or khilkhilati hai,
mere andar ki pagli ladki se roj muje milvati hai,
kuch kehti hai aankhe unki,
dil ki gehrai jese vo unhi me lie bethi hai,
tutt jata h hosla jbb mera,
dhandas muje bandhati h ,
khud se karti hai vo pyar,
aur yhi sikh muje bhi de jati hai,
ishq me dubbi vo tasveer,
roj raat ko sone se pehle aalaingan alvida ka de kar jati hai :)

Thursday, February 13, 2014


Katil hai jalwe teri kayanat k gajab hi hai teri khudai ka alaam eh khuda... khi do woqt ka khane ki aukat nhi toh khi bharpet kha kar fekne ke drishya bde hi aam hai

Wednesday, February 12, 2014


Kanch samjhane ki bhul mat karna... selaab se aayenge kuch yu... ki buniyaad hila denge.

beparwah c ho gyi hai hwa... hai beparwah aaj kuch fija... kho kar inme ho ja tu bhi beparwah... kahe bathake chintao k bhavar me jee le isme... khushnuma hai bda aaj... jo hai abhi, bas abhi ka sma.

Aawarepan ki latt kuch esi lgi... ki har preshani bemani c lagti h dunia ki dodd me... yeh ladki kuch pagli deewani c lagti h... badti jae apni hi dhun me har ek harkat uski sabko nadani c lagti h :)

Sunday, January 19, 2014


Kuch gajab hua Aaj K masumiyat rudali me bhi khilkhilati dekhi mene